...

6 views

Chalo Maan Liya


Chalo maan liya ki mei galat hoo,
Chalo maan liya ki meine gustaakhi ki,
Par iska matlab thori yah hai ki aap haqeeqat se waakif nahi karoge!

Chalo maan liya ki mei galti karta hoo.
Par mei khud bhi toh rota hoo!
Jaazbat ki kadar bhi to karta hoo!

Sacchai se bhaag kar milega kya,
Khud ko mansookh karke hasil hoga kya,
Khali haath aaye the, khaali haath jayenge.
Fark ban kar reh jaayega sirf woh dilo ki baatei.

Woh aasuwei bhi kaha kuch kam bolti hei.
Choop chaap behti hei par sab kuch kehti hei.
Aur jin aasuwo mei sachhai hoti hei na saahib,
Woh bhi bohot keemti hoti hei.
Kripayaa unki kheetmat keejiyega.
Unki lihaaz keejiyega.
Muzaamat nahi!



Instant poem
by
Tonmoy Kishor Loying