...

8 views

Bezubaan Bacchi
Ma...
jab mai duniya mein aai
to sabse pehle mujhe tune suna
maine kuch kaha bhi nahi
par fir bhi tune sab sun liya..
mujhe pyaar se gale lagaya
aur meri kahani ki shuruaat ki...
aaj bhi mai ek mook bacche
jaisi hi ho gai hu
bahut kuch kehna chahti hu
par suna nahi pa rahi khud ko
aaj fir ek baar tu mujhe sun le
mere bina kuch bole hi
aur fir ek baar meri
ek nai kahani
ki shuruaat kar


© Sarika