Ladki hu kamzoor nahi
ladki hu kamzoor nhi
Samaj-- Ye ek ladki hai, ye kya payegi hamare hote hue bhi ye aage badne ki soch rhi hai,Are kamzoor ladki tu kya kr payegi, Is mehanat ke raste par do kadam bhi nhi chal payegi, tujh rone girgirane ke siwa teri pahchan hi kya hai, Asimit hai aasmaan aur teri udan hi kya hai, ek thoakr lagte hi gir jayegi, samaj ke taane sun sun kr mar jayegi, ye doctor aur duniya ki sapno ko chod aur ghr me jaa kr chula choka sikh doctor ke sapno ko chod, tujh 12 ki deegre krne ke liye beekh magni padegi, sun kamzoor ladki tu hamesa hamse niche hi rahegi, kl ke din koi sadi bhi nahi karega, aise hi mar jayegi pade pade, ye jo teri raftar hai, ye samaj ko savikar nhi hai aur ashmaan me usdne ka tujh koi adhikar nhi hai
ladki hu kamzoor nhi.........!!!
Ladki------ Sun be samaj ke ladke mai aaj ki ladki hu har baat ka jawab dena janti hu teri har batamizi ka apne thaapr se hisab dena janti hu, Mai padhugi bhi, aur udugi bhi mai apni har cheez me kabil hu, kya koi mujhe bheekh me dega mai ek khud anmol dhan hu teri is gahtiya soch ko mai apni juti ke niche sakti hu, tujhko aur tere sang sang pure parivar ko paal sakti hu, tu kr de aur asmaan ko uchaa mai apni udaan dikhaugi tujhe, piche nahi hu aage dekh mai teri aakho me aakhe daal kr khdi hu,Jo tere aastitv dagmagata hai mai use sambhaal kar khdi hu ek din tu bhi taali bjayega, mai itna bada kar jaugi, hamko niche dikhane walo ki soch badal dugi Is samaj ki choti soch ke aage, mai ek sawal bn jaugi, isi jagah aur isi samaj me tu bhi mera smaan me jook jayega, tab mushkura kar, ye samaj tab tujhe apni awkaat dikhaugi, Sun meri baat dhyan me rkha mai, Ek ladki hu kamzoor nahi
ladki hu kamzoor nhi
Ham aise samaj me rhte hai jaha ladkiyo ko hmesa kmzoor dikhaya jata hai lekin o kmzoor nhi hoti hai maa bhen beti bahu sab ek hi word se bna hai so ladkiyo ki respect kro aur unko kabhi kmzoor mat sajho 🙏
By......... Sapna pandey