...

26 views

Jeena aasaan hai kya?
Neend hai aankhon mein
Par soya nhi jaata
Kya ho gya hai mujhe
Jo akele mein bhi roya nhi jaata
Khud se baat mein karte hue
Mein puraane khud ko yaad karti hu
Toot chuki hu jaanti hoon
Phir bhi maan ne se inkaar krti hu
kho gyi hai zindagi kahi
Andhere aur ujaale ke beech
Phir bhi koi puchta hai na jab haal mera
Ek hi hota hai jawaab mera
"Bilkul theek "
Mujhe samajh nhi aata
kisiko kyun samajh nhi aata
Dekhte toh Sab hai mujhe
Par mera dard kyun nahi nazar aata
Apne hi khayalo se
jung ladti rehti hu raat bhar
Bas koi mil jaaye aisa jo mujhse kahe
Aa baith kar mujhse baat kar
Aadat si ho gyi hai mujhe
Iss kadar rehne ki
koi waade karke jab ummeed dekar
Chala jaata hai na, Farq nhi padta mujhe
Halat jaanti hu apni kismat ki
Woh kehte hai muskurahat
bohot acchi hai
kaash aankhon mein bhara paani bhi dekh sakte
Rone ka mann kare toh ro lena chahiye hai na?
Par maloom hoga tumhe
Itni aasaani se yaha log ro bhi nhi sakte
Jab apne hi meri khushi ke khilaaf ho
Toh kisi aur se kya ummeed karu
Jeena aasaan hai kya?
Aankhon mein dard qaid kar
Chehre ko khush rakhna
Aam hai kya?
Bolo, jeena aasaan hai kya.
Wo puchte hai
kaise has leta ho
Itna sab seh kar
Mujhe sikhaoge kya?

© Mansi