...

8 views

krishna
hunkar bharo he aaj krishn fir
manvta par sankt bhari
jab jab pap badha shristi par
chai hai vipda bhari
tab tab liya avtar prathavi par
harli hai chinta sari...
kha kho gaye kha so gaye
he gopala he ghirdari
fir aao ek bar prabhu
ho rahi dharm ki hani
bhul gaye kya apne vachno ko
mere khanha krishna murari.....
yada yada hi dharmashy
glani bhavti bharth
abhuyt thanm adharmasy
tadatmanm srjamamham
pritanay sadhuna vinashkay ch
duskarta Sam bhavami yuge yuge.,



© vrinda Nagar