...

12 views

Sapno ki udaan.
Chot jitni gehri hogi,
Chamak utni khari hogi

Girna teri qismat hai,
Par girke uthna teri chunouti hai.

Bani hai tu apne parivaar ki aan, intezar hai ab kab bharegi tu apne sapno ki udaan

Kashto ko tune muskurakar jiya, ab samarpan se tu khud ko ji

Banke apno ke sapno ka sath, ab de tu apne b sapno ka sath

Bas intezar hai ab, kab bharegi tu apne sapno ki udaan

Apno se duri,
karne chali tu jimmedari ko puri....

Jimmedari ki dor thi itni bhari, aatmasamaan bhi hua pani pani

Jab dekha hai ye har naari ki kahani, tab jana ki duniya ko mamta se seechne wali hi hai..... Andar se khali

Bas intezar hai ab, kab kab bharegi tu apne sapno ki udaan

Jis tarah har raat ke baad naya savera hota hai, usi tarah tere bhitar ki lau ko tuje jagana hai

Kaanpte hue kadamo ko sitir kar, apne atmavishwas ko jaagruk kar

Shabdon me Jawab kya dena hasne walo ko, ked karle tu apne junoon ko,
Apne khoon ko chala kuch kar dikhne ko

Naari ko naari se jodna hai, har naari ko utchan utna hai,

Bas intezar hai ab, kab bharegi tu apne sapno ki udaan

Lete chal tu unka sath, jo hon tere sath..... Gar jo tere sath, na ho to...
buland kar tu apna sath...