โ๐๐๐๐๐ช๐๐ก ๐๐ ๐๐ฆ๐ง๐๐ง๐ฉ๐ ๐ฃ๐๐ฅ ๐ฆ๐๐ช๐๐โ
Yeh kavita ek insaan ke andar chhupi hui gehri udaasi aur nirasha ko bayaan karti hai. Jab zindagi mein dard aur tanhaayi hi saath rehte hain, tab bhagwaan ki majudgi pe sawaal uthne lagte hain. Kavita yeh soch ko darshati hai ki agar bhagwaan hain bhi, toh unki laaparwahi aur insaan ke dukhon se anjaan rehne ka ehsaas, insaan ke dil mein bas ek akelaapan aur bechani chhod jaata hai.
Kya sach mein bhagwaan humare aas paas hain,
Ya phir sirf humare khwabon ka ek anjaam hain?
Is duniya mein ya toh bhagwaan nahi hain,
Ya phir unke dil mein insaano ke liye koi jagah nahi hain?
Zakhm hain gehre, par aatey nahi hain,
Dilon ki galiyon mein roshni ki koi parwah nahi hain.
Insaan rote hain raaton ke andheron mein,
Par bhagwaan ke kaano tak unki fariyaad pahucti nahi hain.
Jo sach hai, woh dil ke kone mein chhupa rehta hai,
Aur jhoot hai, jo duniya mein bas beparwah chalta rehta hai.
Agar bhagwaan hain, toh kyun dard hamesha saath hota hai?
Kyun har mod par bas tanhaayi ka hi sath hota hai?
Dil ke tukde tukde karke kyun woh muskurata hai?
Aur phir khamoshi se apni duniya mein laut jata hai?
Insaan ke ansuon ka rang kya usse kabhi nazar aata hai?
Ya phir woh apni duniya mein itna magan hai, ke kuch sunai nahi deta hai?
Aasman mein sitare bas chamakte rah jaate hain,
Par zameen par jeevan sirf dard ke hi geet gaate hain.
Kya woh sach mein hai, ya bas ek sapna hai?
Jo hamesha door se muskurata, lekin kabhi paas nahi aata hai.
Jab dil ki baat kahin, toh lagta hai kyun khaali khaali?
Aur jab chup raho, toh lagta hai duniya hi hai jhooti saali.
Is duniya mein agar bhagwaan hain, toh unhe humari parwah kyun nahi hain?
Aur agar parwah nahi, toh phir unki majudgi ka kya asar hain?
Shayad yeh duniya hi jhooti hai, ya phir sapne jhoote hain,
Jo sach mein hai, uska ehsaas kyun itna chhota hain?
Zindagi ke raste pe kyun dard hi milta hai?
Aur har mod par kyun udaasi khilti hai?
Kya sach mein bhagwaan hai, ya bas tasalli ka saathi hain?
Jo door se dekh kar, humare dard pe muskurata hain.
Is duniya mein agar sach mein bhagwaan hain,
Toh kyu unhe humari parwah nahi hain?
โ๐๐๐ ๐๐ช๐ฃ๐๐ฎ๐ ๐๐ ๐๐๐ค๐ค๐ฉ๐ ๐ฉ๐๐จ๐ซ๐๐๐ง ๐๐๐, ๐ฎ๐ ๐จ๐๐๐๐๐ ๐ ๐ ๐ก๐๐๐๐ง,
๐ผ๐๐๐ง ๐๐๐๐๐ฌ๐๐๐ฃ ๐๐๐, ๐ฉ๐ค๐ ๐ ๐ฎ๐ช๐ฃ ๐๐ช๐ข๐๐ง๐ ๐๐๐ง๐ ๐จ๐ ๐๐๐๐๐ ๐๐๐๐๐ง?โ
- สส สแดสแด ษชแด แดแดษชษด. ยฉ
ยฉ Hardik Jain