...

3 views

Zindagi, Kab kahan aur kaise ❤
Ab Sur nahi lagte, ham fhir bhii gaate hain,
Koi ab Tarefein nahi karta, Nazmein ham ab bhii sunate hain,
Lakh rokte hain khud ko bhagne se, ummeed dikhte hi ham fhir daud jaate hain,
Gaon ka pedh ab nahi jhukta aage hamare, ham aam usme se ab bhii tod laate hain.
Yun toh jyada koi pass nahi, par jo pass hai usko khaas ham ab bhii batate hain.

Zindagi se wada kiya thaa chalne ka, usne rukne ko bola ruk gaye
Wo bola teher ja thoda ham theher gaye.
Thehre hi hue the jaane kab hamari aankh lag gayi, aankhein jab khuli zindagi badi aage nikal gayi.
Har jagah bhatakte zindagi ka pata ham maangte hain, raaton ko na sokar usko hi dhoondhte bhagte hain.
Ham bhagte rahe jeevan se apne hisse ki dhoop leke,
Bhagte hue hamne apnon ki hi paraye roop dekhe,
Ham fhir bhage sabse ladke bhage laga aage raste thode sundar milenge,
Kahan pata thaa aage phool ki jagah bas kaantein milenge.

Iss daud me hamko Mile hamare jaise log,
Zindagi ki talaash me har jagah bhagte log,
Jinhe paraya samjha kahan pata thaa kabhi wo apno se jyada apne lagenge,
Par ye log kehte abhi bhagna hai aage jakar kabhi fhir milenge.
Bahutt bhagkar ham ek jagah ruke, jahan ruke wahan suna ki thoda shor bhii hai,
Wahin aage dekha hamare jaise log aur bhii hain,
Unhone kaha Kitna Bhagoge Baitho aur Taapo ye aag,
Baitho aur sunao apna koi raag,
Chinta mat karo kisi kaam ki nahi ye daud aur bhaag,
Ham wahin baithe sabko raag sunane lage,
Jo gaane na pasand the wo gaane bhii gaane lage,
Sab aaj khush hain jaane kitne din baad koi nayi mehfil sazi hai,
Hamare maayoos chehron me ab jakar aayi koi hasi hai,
Ham baithe hi the ki aayi bheeshan thand me kampkapati ek sundar si ladki,
Parde ke bheetar lag rahi thii khud se hi bhadki,
Hawa chali uska parda uda, gira jaakar door jahan gandgi thiii,
Ham sabne liya usko pehchan yahi hamari zindagi hai.
Usne kaha wo bhagi nahi bas aage badhi thii,
Maayosiyon se bachane wo muskurahatein laane gayi thiii,
Hamko soya sochkar wo lakar muskurahatein hame jagane gayi thii,
Naa paaya hame toh dhoondhne usne hame ek raah pakdi,
Dekhkar aayi hai uss rahh thii thand tagdi,
Suraj ka naamonishan nahi, wahan logon ka koi makan nahi
Bhagte hue usne maara gol fhera hame paaya thoda pass jahan din thaa thoda sunehra.
Usne kaha ki uss or ki raah bhale lagti bhali hai,
Par chal wapas wo raah teri nahi hai.
Ab zindagi mili ham wapas apne gaon bhage,
Pahuchte hi dekha lage hain ham fhir sur me gaane,
Tarefein hi tarefein jab bhii lagte hain ham nazmein sunane,
Gaon ka pedh ab jhukne laga hamare aage,
Log ab hamko bhii hain lage apna batane.
Duniya ab kaisi bhii ho lagti sahi hai,
Fhir se saath ab hamari zindagi hai.
---- UTKARSH