...

87 views

Haan badal rahi hoon mai
Ab sabdon se pehle insaan ko smajne ki
kosis kr rahi hoon mai...
Haan badal rahi hoon mai
Khamosh rehkar logo me badlav mehsoos
kar rahi hoon mai..
Haan badal rahi hoon mai
Sabki jindagi ka hissa bnne ka shauk
khatam kar rahi hoon mai...
Haan badal rahi hoon mai
Dusro ko khush dekhne ke liye wada
nhi kar rahi hoon mai...
Haan badal rahi hoon mai
Badalne se zingadi aasan hoti hai,
tou haan
Badal rahi hoon mai.
© sdhama