...

8 views

Ek Kavi, Ek shyar, Ek lekhak
Ek Kavi, ek shyar ,ek lekhak
Kha apne bare m bolta h
Vo toh Sirf har pal m kuch khojta h
Khush Ho Yah Dukhi
Sach ko sabk samne Kholta h
Ek candle jaisa h Vo
Maqua mile tbhi bolta h
Kavi h Vo Sach m
Sirf apni Kavita se kisi k
tute hue dil k tukde jodta h

Tarif na krvane walo ki jo tarif hi kre
Apne dukh Sirf aapne tk hi sahe
Muskurahat Lana h jiska kaam
Jo Haar baat ko sath surr ki terah
Ek pangti m jode de
Shyar h uska naam

Lekhak Ho toh fire brigade jaisa
Sunai vo samaj Ki buaraiyo ki vayakhya
Apne vicharo Se aise likhe ek kahani
Jo Na Phele kisi ne suni Ho ,Na kisi ne jani

Teeno ek hi toh h Bs naam hi alag h
Apni bhavnao ko aise baya krty h ki
Ki Kbhi bhi Khud ki tariff nhi krty h
Ek hi rehta h inka ehsass
Vhi bnata h Aaj bhi inhe ink andaz Se khaas
Inki pyari kalam, Inki pyari kalam