...

4 views

teen rango wali ek chiraya !
teen rango wali ek chiraya hai,
jab udati hai, ek lehar si gujarti hai,
lekar mehak us mitti ki jise,
piroti hai barish ki boonde,
jise hawa bhi mehsus karti hai,
jb uski vo muskaan khilti hai!

teen rango wali ek chiraya hai,
dil me sukoon hota hai jab vo dikhti hai,
ek fiza si aankhon me behati hai,
sab ko samaan, ek mat banati hai,
dilo ke un nagmo me ,jha vo basti hai!

teen rango wali ek chiraya hai
kesar ki dhul liye vo chalti hai,
safed aasmaan ko chuti hai,
khushaal hara desh mera,
khub nihare jise jahaan sara!

aankhon me uski nami dekhi hai,
jab vo dur baithi roti hai,nile aasmaan me khuch chite lahu ke dekh,
bin khuch kahe dard bayaan karti hai,
jab vo kisi saheed ko vidaa karti hai!

vo chiraya ese hi jab bhi gaati hai,
saason me sahaas , jubaan par ek swar,
or kadamo me haseen jahaan karti hai,
teen rango wali ek chiraya hai,
jab bhi udati hai, ek lehar si gujarti hai!

© Arya