...

4 views

Chubhan..
wo kehate hai ..
ham tumhare bhav samajhate hai ...
aur hamari har ek bat se dil ko laga lete hai ....
hamari har ek bat unko chubhati hai ...
kehane ko to kehana hai hmmm tumhe samajhate hai .. par sach me koi shamjata hai ..ye to man ka bhram hai ..
samjana aur dil se bato ko mehsus karana alag alag hai na ..
kya hum yaha kisi ko sunane ke liye aaye hai ...
kyu koi sunayega kisiko ...
kuch apanapan laga issliye dil ka boj kam kar liye the ...
abb se hamara boj fir se hamare hi kandhe uthayenge ..
abb se na kisko kuch kehana hai na kisi ko kuch bolna hai ...
galati ho gai ... jo bato ko juban pe la liye ...
kuch apanapan ke ahsas se .. bhavnao ko shabd de diye ...
aab na juban bolegi na bhavnaye ....
vada raha hamara aajse ....
na Hamm bol payenge na hamare shabd aapko dukhayenge ...

© All Rights Reserved