...

11 views

Ek soch
Kai baar hum ye soch ke pareshan ho jaate hai ki hum kitna peeche reh gye hai .ab toh time nikal gya hai ,sab chhut gaya hai haath se .Aaj meri ek exam tha jisme Mera interest nhi hai (family pressure and ek backup ke liye de rhi hoon).par mein bohat tensed thi hoga ki nhi ,fir gharwale kya bolenge nhi hoga toh fir se ek saal . mein toh peeche reh gyi hoon kuchh hoga ki nhi ye bhi nhi pata , confused, frustrated and of course ek guilt bhi .wahan pe Kai students se baate kari ,jo ki mere se bohat bade hai ,koi drop le rakha hai hai toh koi kisi alag course karne ke baad bhi fir iss exam de rhe hai (almost sabka 3 to 4 years aise hi chala gya hai).toh sab apne life mein kahi na kahi struggle kar rhe hai ofcourse regrets hai par aage toh badh rhe hai na .toh kya life mein hum peeche reh gye hai ya fir humare haath se sab chhut gya hai .well mein ye sochti hoon ki kuchh bhi chhuta ta nhi hai ,jo opportunities chale gye hain may be wo humare liye nhi tha ya fir hum wo deserve hi nhi karte the isliye nhi mila.bolte hai na "jab jaago tab savera".jab shiddat se kuchh karna chaho toh ye nhi dekhna chahiye ki kitna waqt beet gya hai log kya bolenge.sab bolte hai ki saal chala jayega,nhi ho rha hai toh nhi hoga,nhi hoga agar time kyu waste karni ,chhoti badi jo bhi hai karle par fortunately/unfortunately mein iss tarah nhi soch paati hoon .bhale hi mujhe time Lage par mein wo karna chahungi jo mein chahti hoon.
hum kya koi competition mein hai yaar jo peeche reh jayenge,bhale hi kisi course mein aage nhi badh paa rhe hai lekin life mein jarur level up kar rhe hai, experience gain kar rhe hai,hum mein wo capability hai jo shayad kisi ko dikhta nhi kyu ki sab ye dekh ke judge karte hai ki isne toh kuchh Kiya nhi iska kya capability hai par nhi hum mein itna capability hai ki jab time aayega tab level 1 se lekar level 10 tak hum yu hi pahunch jayege.tab lagega life itni Kam time mein kese badal gyi yaar.filhal issi soch ke saath aage badhte hai.


smile😊😊😊
© All Rights Reserved