...

5 views

Maa Baap Ka Pyaar
Maa ka mamtha, pedd jithni vishal hey tho
Paapa ki Farz phal jithna meeta
Agar ye dhono nahi ho tho hum banjar zameen hey
Jab dhono ka zinmedari khatam ho jathi hey
Bacho ko zinmedari ki paani daal kar
Uss pedd ko mazbuth banana hey

Maa ki laad pyaar mey bache ke bhalayi chupi hothi hey
Paapa ki daant mey bache ke liye chintha chupi hothi hey
Maa apna asun dikhakar dukh zayar karthi hey
Lekin paapa chahe kithni bhi takleef ho usko apni hassi ke peeche chupa lethe hey
Mamtha aur zinmedari ki beech ki ladayi mey apne bacho ko jitathe hey

Janwar ho ya insaan maa baap ka pyaar kisi jeev mey bhi kam nahi hey
Zindagi ki vishal samandar mey
Maa baap naav ki tharah hothe hey
Jinke bina hum kinara kabhi pahunch nahi payenge
Badi kithab ki hazar panne mey maa baap kalam ka kirdaar nibhathe hey
Jiske bina uss kithab ki koi bhi kahani shuru nahi ho sakthi

© Poetry explains words 0f life