...

9 views

Akhari salam 👋
Deer laga dii hum ne batane main naam-
Aisa hi hona tha humara injaam -

Jo kaam na bata paya usse kya hi kaam-
kehti hai duniya iss kaam ko nakaam -

Souda na kr sake hum imaan dari ka wafa dari se-
Phir maar liya khud ko aur ho gaye gumnaam -

Aag see garam, mager phir bhi narm -
Phir pata karte hain woh aise dilu ke daam-

Yaad hai hume aaj bhi wo door-e-wafa -
kartey thee mohabbat aur thee hum gulam -

Abh tak wahin hun , 'kya main khain hun' -
Ayar aaj bhi kanno main jhunjta hai wo akhri Salam -

© AbrarAhmedAyar