...

4 views

Mohabbat
Kabhi mat kehna,
Pyaar karna galat hai...
Uss ahsaas ko badnaam kyun karein,
Jiske liye hum zimmedaar hote hai...
Woh teen shabd kehna hai aasan,
Par nibhana utna hi mushkil...
Izhaar karke bass chor diya,
Kya itna hi humhe banate hai kaabil...
Pyaar ka koi tareekha nahi hota,
Ye toh bohot log kehte hai...
Har tareekhen me pyaar hona chahiye,
Ye phir maante kahan hai..
Pyaar ka koi waqt nahi hota,
Aur nahi hoi halat...
Ehsaas jab sachha ho,
Toh aitbaar karna kyun hai galat...
Aasan hota hai kya,
Iss raste pe chalna...
Toofaan koi bhi utha ho,
Haton me haat pakad ke rakhna...
Jis samaj ke niyam humne banaya
Woh phir kyun gale ka fanda bante hai...
Jab pyaar karne se nahi darrte,
Toh anjaam se kyun muh mod lete hai...
Dharam ke naam pe log bichadte hai,
Asli matlab koi samajhna nahi chahta..
Pyaar toh khud hi ek dharam hai,
Iska koi dharam nahi hota..!!

_ Pujashree