...

5 views

Aashiqui 🥰🥰
Jaanta hai dil mera ki ye aashiqui
do tarfa thi
Agar ibaadat main ki thi to
mohabbat uski bhi kam nhi thi
Ishq ki in galiyon m humne jo
saath khwaab dekhe the unhe
hakikat m badalna hum dono ka
hi sapna tha
Zindagi bhar ek duje ka saath
dena...har sukh dukh m ek saath
rehna hum dono ka hi armaan
tha
Fir waqt ne ye kaisi karvat li ki
sab kuch badal gya
Kl tk jis ishq pr mujhe naaz tha aj
ussi pr afsos ho gya
KI tk jo meri rooh m samaya tha
aj dil se bhi utar gya
Haath se fisalti ret ki tarah sab
kuch fisal gya meri zindagi se
Har khwaab tut gya har sapna
ruth gya
Dard aur aansuon ke alava kuch
na bacha zindagi m...