...

3 views

haa main akela hu
Andheri raah par jab wo aage chalta tha
tab wo mera haath pakadta tha
jab mein aage badhta tha
tab wo mere piche chalta tha

maine manzil dekh kar wo haath jhatak diya..
roshni bahut h is raah pe
par wo saath nhi .

haa me akela hu

bachpan mein jab ladte the
tab hafto milte nhi the.
par kabhi bichharte nahi the..
par is baar mujhe teri aur tujhe
meri baat kuch yu chubh gayi...

yaar hum bichhar kaise gaye ...

haa main akela hu..

kahne ko to bahut log saath h mere,
par wo haath jo tune thama tha
kisi mein wo baat nahi ..

chal,
naa tu maafi maange
naa main maafi maangu ..
aa jab bichhre the
aaj wo kissa mita de

yaar main akela hu
tu mera akelapan mita de...
jo bhul gaye the ek duje ko
aa wo lamha bhula de...

aa ek baar dosti kya hoti h
ye sabko dikhaade...

© Asha