...

3 views

Intezaar bas tumhara
Tum kahke to chale gaye aab baat mat karo,
kya jano tum ye kitna anmol hai mere liye

Han tum kah gaye ki aab thoda dur rahna hai tumse ,
par kya jano tum dur ka dariya Mai kitna dubi huyi hnu Mai

Tum kahte the har roz ,ki yaad aya toh call kar diya tumhe ,
phir kyun tumhara yaad mujhe sone nahi deta ,kya yahi pyar hai jo jeene nahi deta

khana khaye ya nahi har roz puchte the tum,
mano bachhi ke jaise sambhal te the tum

pyar hai toh batana sikho ,
satana buri baat hai

jaan kah kar jaan mat liya Karo ,agar pyar hai toh har dariya par Karo

raat ke do baje call karne ka haq mujhe tha,
par aab block karne ka haq kaise hua tumhe

Han Maine kaha tha intezar rahega tumhara ,
par itna satana kya pyar hai ,agar ye hi pyar hai toh baas kya intezar hi mera pyar hai

Tumhe toh pyar batana nahi aata,
phir bhi samjh jati Mai ,kyun ki dil ka ristha hai ye andhhi hoti gayi mai

Han Maine kaha tha intezar karungi tumhara,
Jab pyar samjh aajaye chale aana mere paas
(:kyun ki ye dil ko baas intezaar hai tumhara baas tumhara )
© sona