...

13 views

Tu fhikar na kar!
Tu fhikar na kar.... Jo aj ho raha hai, vo Kal nahi hoga, Tu aj tadpta hai Kal nahi tadpega, Tu aj pareshan hai Kal teri kamyabi se dusre pareshan honge... Tu fhikar na kar jo aj jalte hai Vo Kal bhi jalenge ,tu apni rahh per chalta jaa bus chalta ja, Lakh mushkile bhi kyu na aa jaye Zindagi mai, tu badhta chal Tu badhta chal, jo aj tugh per mushkilo ka dher dal rahe hai,kal wahi usse sametne ayenge...Tu har na maan Tu bus badhta chal, Apni pareshaniyo mai unka haal khoj, Apne maan ki lehro ko samet apni himmat ko akash ki tarah failata jaa.....Tu fhikar na kar Jo aj dukh dete hai ishwar unko khud sabak sikhayega, tu bus apne karmo ko sath lekar bus chalta chal bus chalta chal... Jo sath hai unki ehmiyat ko samgh, Apni maan ki gehraiyo mai hi apne pareshaniyo ka haal dhundh, Himmat rakh kismat kabhi kharab nahi hoti, tu bus karma kar aur kismat ko dosh dena band kar, Swayam ko Pehchan bus Himmat rakh tughme takat hai sub jeetne ki ek bar kosish to kar .Ek din ye din bhi acha hoga. Tu fhikar na kar! @sonna. Ek choti si kosish acha lage to like Kare 😊