...

1 views

โ€œ๐†๐„๐‡๐‘๐ˆ ๐‘๐€๐€๐“ ๐Š๐€ ๐‘๐€๐€๐™โ€
๐ˆ๐ฌ ๐ค๐š๐ฏ๐ข๐ญ๐š ๐ค๐ž ๐๐ฐ๐š๐ซ๐š, ๐ค๐š๐ฏ๐ข ๐š๐ฉ๐ง๐ข ๐ฌ๐จ๐œ๐ก ๐ค๐จ ๐ฏ๐ฒ๐š๐ค๐ญ ๐ค๐š๐ซ๐ญ๐ž๐ฒ ๐ก๐ฎ๐ฒ๐ž ๐ฒ๐ž๐ก ๐ค๐ž๐ก๐ง๐š ๐œ๐ก๐š๐ก๐ญ๐š ๐ก๐š๐ข ๐ค๐ข, ๐ค๐š๐›๐ก๐ข-๐ค๐š๐›๐ก๐ข ๐ก๐ฎ๐ฆ๐š๐ซ๐ข ๐ณ๐ข๐ง๐๐š๐ ๐ข ๐ข๐ญ๐ง๐ข ๐๐š๐ซ๐ ๐š๐ฎ๐ซ ๐ญ๐š๐ง๐ก๐š๐ข ๐ฌ๐ž ๐›๐ก๐š๐ซ๐ข ๐ก๐จ๐ญ๐ข ๐ก๐š๐ข ๐ค๐ข, ๐ก๐ฎ๐ฆ ๐š๐ฉ๐ง๐ž ๐ฃ๐š๐ณ๐›๐š๐š๐ญ๐จ๐ง ๐ค๐จ ๐œ๐ก๐ก๐ฎ๐ฉ๐š๐ง๐ž ๐ฅ๐š๐ ๐ญ๐ž ๐ก๐š๐ข๐ง. ๐‡๐š๐ซ ๐ž๐ค ๐ซ๐š๐š๐ญ ๐š๐ฎ๐ซ ๐๐ข๐ง ๐ž๐ค ๐ง๐š๐ฒ๐ž ๐ข๐ง๐ญ๐ž๐ณ๐š๐š๐ซ ๐š๐ฎ๐ซ ๐๐š๐ซ๐ ๐ค๐ž ๐ฌ๐š๐š๐ญ๐ก ๐ ๐ฎ๐ณ๐š๐ซ๐ญ๐š ๐ก๐š๐ข, ๐ฅ๐ž๐ค๐ข๐ง ๐ก๐ฎ๐ฆ ๐š๐ฉ๐ง๐ž ๐š๐š๐ง๐ฌ๐ฎ๐จ๐ง ๐ค๐จ ๐ค๐š๐›๐ก๐ข ๐ง๐š๐ก๐ข ๐ ๐ข๐ซ๐ง๐ž ๐๐ž๐ญ๐ž ๐š๐ฎ๐ซ ๐š๐ฉ๐ง๐ž ๐๐ข๐ฅ ๐ค๐ข ๐›๐š๐š๐ญ ๐ค๐š๐›๐ก๐ข ๐ง๐š๐ก๐ข ๐ค๐ž๐ก ๐ฉ๐š๐ญ๐ž.

Gehri raat thi, par hum soye nahi,
Seene mein dard tha, magar hum roye nahi.
Tanhaayi ki chaadar mein hum lapte rahe,
Kehne ko bohot kuch tha, par hum bole nahi.

Yaadon ke saaye chhupaye hai raaz,
Dil ki silwatein hai saboot, par humne jaana nahi.
Koi jo poochta, kya soch rahe ho tum,
Kaash samjha pata ke hum kahi dino se roye nahi.

Jaane kiske intezaar mein, ye raat dhal gayi,
Dil ke tukde sambhalte rahe, par dard se kabhi jhuke nahi.
Sab kuch tha par phir bhi kuch kami si thi,
Zindagi ke is raaste mein, hum phir bhi kabhi ruke nahi.

Nazar ke aage the sapne, par haath se fisalte gaye,
Dil ki har ek baat ko, humne khud tak simate rakha.
Jaag rahe kisi ke liye, ya khud se rooth gaye,
Ye sawaal to dil se kiya, par jawab kabhi mila nahi.

Din dhalta raha, lekin andheron ka silsila kabhi ruka nahi,
Har pal ki ek nayi kahani thi, par purana gile-shikwe bhula nahi.
Sapne jo kabhi saath the, ab paraye lagte hain,
Humne samjha tha dard ko, par ab dusro ko samjhana aasan nahi.

Jisme thi bas kuch bechaini, aur thodi si tanhaayi,
Raat bhar humne apni khud se ek jung ladaayi.
Koi jo sunne aata, humne apni baat bayan karayi,
Par kismat ne to humein sirf khaamoshi ki raah hi dikhayi.

Ye dil jo kabhi masroof tha muskurahat mein,
Ab ismein sirf gham ka aawas hain.
Mitti ki tarah bikhar gaye hum, hawaon mein,
Par kisi ne na dekha, kyun hum roye nahi.

Chhupaye the jo jazbaat, aaj phir se bechain kar gaye,
Jaise ek purani kitaab, jo dhool mein dabaayi gayi thi.
Kash koi samjhta, ke humne intezaar kitna kiya,
Jaise kabhi khatm na hone wali ek adhoori dua thi.

Sapne jo kabhi humare the, aaj kisi aur ke ho gaye,
Hum apne jazbaaton ke bojh tale dab gaye.
Jaagte rahe hum kis ke liye, ye raaz, raaz hi reh gaya,
Aur hum roye nahi, apni kismat se bhi shikwa na kiya.

Ab toh bas aadat si ho gayi hai dard sehney ki,
Jaise chand ka poora na hona, ek haqeeqat ho gayi.
Raat kab dhal gayi, pata hi nahi chala,
Bas hum apni dastaanein likhte chale gaye,
Par in khaali kagazon pe apne aansu kabhi giraaye nahi.

Zindagi toh ek intezaar tha, jisme sirf raat thi gehri,
Humne bas sapne dekhe, par unhein kabhi apnaya nahi.
Dard ke iss silsile mein bas hum aur khaamoshi thi,
Par is khaamoshi mein bhi, hum kabhi roye nahi.

โ€œ๐ƒ๐ข๐ฅ ๐ฌ๐ž ๐ฃ๐จ ๐›๐š๐š๐ญ ๐ง๐š ๐ค๐ž๐ก ๐ฉ๐š๐š๐ฒ๐ž, ๐ฐ๐š๐ก๐ข ๐ซ๐š๐š๐ณ ๐ซ๐ž๐ก ๐ ๐š๐ฒ๐š,
๐€๐š๐ง๐ค๐ก๐จ๐ง ๐ฌ๐ž ๐ฃ๐จ ๐š๐š๐ง๐ฌ๐ฎ ๐ง๐š ๐ ๐ข๐ซ๐š๐ฒ๐ž, ๐ฐ๐š๐ก๐ข ๐๐š๐ซ๐ ๐ค๐š ๐ฌ๐š๐Ÿ๐š๐ซ ๐ค๐ž๐ก ๐ ๐š๐ฒ๐š.โ€

- ส™ส สœแด€ส€แด…ษชแด‹ แดŠแด€ษชษด. ยฉ
ยฉ Hardik Jain