...

3 views

Kon apna kon paraya
Kesa lagta h jab koi
bharosa tod deta h
is baat se anjan tha me
phir mere apno ne muje
is dard se wakif kara dia

Hamesha hazir raha me unke lie
had se zyada chaha kadr ki
or wo h jinhe mujme khamio
ke alawa kuch nazar nahi aata
socha nahi tha ye anjam hoga

Me roya bahot sambhala nahi gaya
mayus dil ko manaya nahi gaya
khuda se pucha kya galti h meri
jo apno ne mujme bewafai ka
nafrato ka khanjar chala dia

Khud tanhai ki kabr me dafan hoke bhi
har baar maaf kia mene unko
ab thak chuka h dil
sehte sehte gamo ko

Bharosa karne ki saza itni buri hoti h
jab apne dhoka dete h
zindagi maut se bhi battar lagne lagti h
khushia sari bemaut mari jati h

Khair ab sambhalna padega muje
unke lie jinhe mere gam apne lagte h
jo meri khushio ke waste rab se dua karte h
wada h khudse khudko na harne dunga
mere sache apno ki ummido par
me khara utrunga
in taklifo ki jang ko me jitkar rahunga.

© rõõh