...

13 views

Alfaaz e qalb
Khamosh padhi Kitaab meri
Shor o gull Alfaazoo ka hai,

Na kissa dilrubai ka
Bas chehra Naqaabo ka hai,

Tu naa gilla kar Kaabiliyat sey
Yahan Sirf Kirdaar ka maan hai,


Narm lehjoo ke zulm e shehr mai,
Khud hi sab hukmraan hai,

Yeh chalkta pani Ansoo nhi,
Bas bebassi ki zubaan hai,

Yahan qalb zang e allodah nhi,
Chehri bhi kaalak sey nooran hai,


Karlo safar tum bhi mallomaat
Meri nhi Yahan Koi pehchaan hai,

Saanf ki shakl ke hai Shehzaadey
Har ladki ka kissa gali mai aam hai,

Naa Kenha kuch shareefi ka dars
Yahan tamashaii hi mazlum hai,


Doo batein dil sey kehtey
Yeh Sirf emaan ka khoon hai,


Samajhtey hamei hai joo mujsma
Shaitan Sey nhi juda hai,

Dil naa laga Arooj ka insaano sey
Zavalu ney hi usey Khuda sey milvaya hai.





© Aruwrites