...

32 views

kabhi kabhi theek na hona bhi theek hota hai
kabhi kabhi lagta hai na ki hum kisi aur ki zindagi jee rhe ho,
ghutan si mehsoos hone lagti hai
ki hum,
hum na ho kar koi aur bann
rhe ho .
Aage ki taraf kadam bada rhe hai , aur peeche hi pohoch te ja rhe hai . Humein pata hai ki theek nhi hai,
phir bhi theek dikhna chah rhe hai.
Sochte hai kisi se baat lu apni baatein,
phir yahi soch kar jane dete hai chhodo,
kaun samjhega.
Bewajah apne hi khayalo mein khoye rehte hai.,
jiska hume pata bhi nhi hal kaise niklega.
Isliye kisi ko samjhane se behtar, hothon par muskan rakhna behtar samajhte hai.
Bohot uljhane hai na jo sulajhti nhi,
tabhi toh ek chehre par dusre chehre ka naqaab pehne rakhte hai.
Raat toh sochte- sochte nikal jati hai
ki kaash kal ka din toh sahi ho
kal toh khul ke has saku shayad,
hothon pe jhoothi muskan na ho.
Par kya tumhe pata hai?
kabhi kabhi theek nahi hona bhi theek hota hai, tum akele nahi hu iss ladaai mein aisa sabke saath hota hai.
Ek baar ro lene mein koi badi baat nhi hai,
chalta hai
kyuki humesha hasta hua chehra bhi toh ajeeb hi lagta hai
It's okay
agar har cheez ko lekar bechain hai hum, aur koi rasta abhi humhe nhi dikh rha hai.
It's okay
agar rona bhi chahte hai hum kyuki raahe bhi saaf dikh nahi rhi.
yeh saari feelings normal hai,
toh humein yeh dikhane ki zarurat nhi hai ki hume isse fark nhi padta.
Chot lagti hai toh dard hota hai, toh sabko yeh samjhane ki zarurat nhi hai ki hume dard nhi hota.
Har waqt kuch waqt ke baad beet hi jata hai aur kuch na kuch sikha kr hi jata hai

Kabhi kabhi theek nahi hona bhi sach mai theek hota hai
kyuki ek na ek din sab theek hona hi hota hai.....

---Mansi


© Mansi