...

12 views

Ek Sawaal Hai
Hai mojood yaha hazaro log,
Sabka apna apna kamaal hai.

Agar mil jaye is Mehfil Se fursat,to milna.
Ek sawaal hai.

Ye Jo chai ki lat or cigarette ka kashw hai.
Iske pichhe kya bawal hai.
Ye sawaal hai.

Mai ruk ruk ker dekha kiya,
Sabhi majnoou ki taraf.
Sabka apna Jamal hai.
Fir Ek sawaal hai.

Ye kahani kaha tak chalegi,
Ye zindagi kaha par thamegi.
Kya iska koi saboot ya misaal hai.
Ye sawaal hai.

Humne kabhi nahi kaha Ye duniya buri hai.
Apka iske bare mai kya khayaal hai.
Ye sawaal hai.

Hum kat rahe hai apne din,
Jaise koi bhooka chooha kutarta hai kapde ko, roti ke bin.

Koi hamara haal nahi puchhta,
Hum kisi ka haal puchhle, kiski itni majaal hai.
Ye sawaal hai.

Agar tumhe samajh nahi aati ye duniya to Btao kyu.

Or Agar samajh chuke ho to,
Fir Ek sawaal hai.
Ye apki zindagi ka kon sa saal hai.




© ALBAB QUDDUSI POET