...

5 views

majhdhar2
ja fasha mai apne musibato k majhdhar,
kaise niklu yha se, kya hogi jeet ya haar,
jane kb hoga savera meri zindgi me,
jaha panapte nay sapne,ubharti sadgi me,
kasmkas me fasha mai yeh sochta rha,
halat ka mara kaha jayu, ye khud se puchta rha,
khatam kar du ab ye zindgi, aisa khayal aya man me mere,
kafi sapne krne the poore par karz me doobe the karobar mere ,
ab kya hoga?maut hi akhri rasta sa lga,
koi na kre madad na hi paraya na koi sga,
umeed chord kuwe me mai kudne chla,
phir socha kud k maru ya khud ko lu jla,
par marna raas na ayi ,
zindgi ki purani khusiya bha gayi,
socha kya mar hi jana sahi hai?
ya musibato se ladu jo itna bhi asan nahi hai,
ladna bha gya,
himmat mujhme aa gya,
chla mai apne karzo ko chukane ,
karobar ko ek naye rup se sajane,
dekhte hi dekhte din wo phirne lage,
bure waqt ki kehar ab dhalne lage,
chuka diya akhir kar mai sab karz ,
marna hi ni ek rasta ji k jitna hai mera farz,
zindgi majhdhar se kinare le hi jati hai aant tak,
bas hausla aur himmat jisme hai wo hi tikta hai aant tak...
-by Sneha Bhadra













© Sneha Bhadra