...

4 views

Gaya Tha 🌿🌿
Koi toh reet main paani masal gaya tha
Bakhayali main mera khayal bikher gaya tha

Koi rokta mujhe iss se pehle main khud hi
Khud ko rokta hua khain pe chal gaya tha

Mujse zayda mannane walo tum sach ko maan lo
Meri kya aukaat main kitni baar behal gaya tha

Han khuda hai aik aur uski khudai hai sachi
Usse pukar kar banda khud hi sambhal gaya tha

Duniya ko apna na banao tum bhi khuda ko apnao
Pani pate pe tehra bil akhir fisal gaya tha

Hisaab zara muskil hai ye yaad rakh ayar
Jo ab tak guzara kha kaise wo waqt gaga tha

14 -03 - 2024

© AbrarAhmedAyar