...

5 views

कलयुग😶
Ramayan treta ki katha hai ye to suna tha✨
kintu maine to Ramayan ko kalyug mein dekha tha😶
nyaay Prem sacchai vishwas aur saari acchai chodkar 💔
kalyug ne treta ka rakshas ukera tha👹

us yug mein ravan ne Sita ka apharan kar bhi use chua na tha🤌🏻
is yug mein chune matra hi Sita ka apharan hua tha🥲
us yug mein doori par bhi Prem mein kami na thi🤍
is yug mein doori se hi Prem naapa gaya tha⚖️

us yug mein acchai ne buraai ko haraya tha💫
is yug mein har din jhoot ke neeche sach Marta tha😔
har cheez hai badli gai🖐🏻
par ek badli na gai☝🏻

us yug mein Sita hi sahi🥀
is yug mein Sita seh rahi...
us yug mein Sita hi jali🍁
is yug mein Sita jal rahi...

© All Rights Reserved